Antarvasna kahani वक्त का तमाशा
07-03-2019, 05:17 PM,
RE: Antarvasna kahani वक्त का तमाशा
"Galat sawaal puch raha hai meri jaan.. Lekin, sawaal se pehle mere paas tere liye ek surprise hai.. Dekhna chaahega.." Sunny ne Samar se kaha aur kamre mein maujud har shaks ko ghoorne laga

"Usman... Andar lao unhe.." Sunny ne chilla ke kaha toh Samar ke sath sath har shaks ki nazar room ke gate pe chali gayi

"Yeh Usman kaun hai.. Aur yeh sab kya ho raha hai Sunny, aakhir yeh sab.."

"Yeh sab plan ka hi toh hissa hai mere bhai.." Sunny ne Samar ko tok ke jawaab diya

"Yeh sab kaisa hissa, aur maine toh kabhi aisa plan nahin banaya tha" Samar achanak aisi sthiti mein hadbadane laga

"Tera plan.. Tera kaunsa plan bhai.." Sunny ne gun ko Samar ke sar pe rakh ke kaha... Achanak hi Sunny ke bartaav mein yeh badlaav dekh Samar ka halak sukhne laga

"Sunny bhai.. Le aaya hun inhe.." Darwaze ke paas se Usman ki awaaz Sunny ke kaano mein padi

"Samar.." Gun ko samar ki gardan pe rakh Sunny ne apni baat kahi

"Maine tujhe pehle bhi kaha tha, aur ab bhi keh raha hun.. Raichand's ke sath meri personal dushmani nahin hai.."

"Jyoti.. Sheena ko please hosh mein laane ki koshish karo, yahan se Sheena ka hosh mein rehna bahut zaruri hai.." Sunny ne Jyoti se kaha jo haalat palatte dekh kaafi khushi mehsus karne lagi thi aur uski himmat bhi badhne lagi thi, Jyoti jaldi se Sheena ke paas gayi aur use hosh mein laane ki koshish karne lagi lekin Sheena ko hosh aa hi nahin raha tha

"Yeh tu kya kar raha hai Sunny.. Dhokha dega tu mujhe, apne dost ko.." Samar ne Sunny se kaha jo uske saath aankhein milaye khada tha

"Dhokha maine tujhe nahin diya dost, tune mujhe diya hai.. Hazaar mana kiya maine tujhe ke Ricky aur Vikram ko kuch nahin hona chahiye, lekin tune meri woh baat nahin suni.. Lekin usse pehle mujhe kuch zaruri kaam karna hai.." Sunny ne Samar ke mastak pe bandook rakh kaha aur ishare se baba ko apne paas bula ke bandook use thama di

"Bahut galat aadmi ke hathe chadha hai tu bete..." Baba ne Samar ke kann patti pe gun rakh kaha, tab tak Sunny ne ek aur phone kiya aur 5 minute mein Ritu bhi wahan aa gayi.. Ritu ne aate hi sabse pehle Sheena ko check kiya

"Uncle.. Aunty.. Abhi kuch der pehle jo musibat hui aapko uske liye mujhe maaf kar dein.." Sunny ne Umer aur Suhasni se kaha jo achanak hi itna sab hote dekh kuch samajh nahin paa rahe the

"Main janta hun aap kya soch rahe hain.. Aur meri shakal dekh mere muh se Uncle shabd sunna usse bhi zyada hairaani ki baat hai.. Par please, main chahta hun ke abhi yahan se jo sab ho woh Sheena bhi sune" Sunny ne Umer ka hath pakad ke kaha

"Humein kuch samajh nahin aa raha tum kya kehna chahte ho, ya kya kahoge... hum sirf yeh jaante hain ke tumhari wajah se humne apne dono beton ko khoya hai, isse zyada dukh kis baat ka ho sakta hai kisi maa ya baap ko.." Suhasni ne Sunny se kaha

"Sunny... Yeh hosh mein aa rahi hai.." Ritu ne Sheena ko pani pila ke kaha toh Ritu ki awaaz sun Sunny Suhasni ka jawaab diye bagair Sheena ke paas chala gaya.. Sheena ne jaise hi apni aankhein kholi, saamne Sunny ko dekh uski aankhein fir dukh ke kaaran bandh hui aur chehra neeche ki taraf jhukne laga

"Sheena.." Sunny ne apne hath se uske gaalon ko thaam uska chehra upar kiya aur uski aansu bahati aankhon mein dekhte hue kehne laga

"Hamare beech ka rishta ek jhuth se shuru hua tha.. jutha naam aur jutha chehra.. Lekin hamare beech jo hua, woh waqt sath bitana, woh saath bethke samandar ki lehron ke beech ek hi phone se gaane sunna, vishwaas rakho, meri zindagi utni khubsurat aaj tak nahin hui hai.. Tumhare sath bitaya hua har ek lamha, har woh pal main roz jeena chahta hun.. Lekin.." Bhaavuk ho utha Sunny achanak apni awaaz teekhi kar fir khada hua

"Usse pehle.. Aap sab please yahan aa jaiye.." Sunny ne ishare se Umer aur Suhasni ke sath Sneha Rajvir aur Jyoti ko bhi ek jagah laake khada kar diya.. Sheena Sunny ke liye khaas thi, isliye woh khud uske paas gaya aur uska hath pakad usi kone mein padi ek badi chair pe bithaya aur sath mein Ritu ko bhi uske paas khade rehne ko kaha

"U feeling good now.." Sunny ne Sheena se kaha toh kuch kahe bina Sheena ne apni nazrein jhuka li


"Ok.." Sunny ne chilla ke kaha aur baba ke saath jaa khada hua

"toh aap kahan the.." Sunny ne baba se kaha

"main yahin hun, tu hi room ke chakkar kaat raha hai itni der se, woh bechara usman bhi darwaze ke paas woh do boriyan pakde pakde thak chuka hai.." Baba ne Samar ke paas se apni bandook hata ke kaha hi tha ke ek dum tenaat Samar ne Baba ke haath se woh gun cheen lee

"Haath upar karo chalo... bahut ho gaya tum logon ka drama.." Samar ne Baba aur Sunny ki or pistol taan ke kaha

"Dekh Samar, gun neeche kar aur meri baat sun"

"Abey chal, itni der se sab ki nautanki dekh raha hun... Sabse pehle goli toh tujhe hi maarunga, main janta tha ke daulat ke chakkar mein aake ant mein tu mujhe dhokha dega hi.." Samar ne bandook Sunny ke gale pe rakhi

"Naahinnnn... please chhod do use... i beg you.." Sunny ke gale ke paas bandook dekh Sheena apni kursi se chilla ke khadi hui par Ritu ne kaise bhi kar use sambhaalne ki koshish ki

"Sheennaa.. hold back.. Relax.." Ritu use wahin pakad ke samjhane lagi

"Dekha, maine kaha tha na ke woh mujhse ab bhi pyar karti hai.." Sunny ne khush hoke baba se kaha

"Aur.." Sunny ne Samar ki taraf rukh kar kaha

"Mere bhai, pehle tu yeh toh check kar le ke bandook mein goli bhi hai ke nahin.." Sunny ne haske Samar se kaha toh Samar bhaukhlahat mein aake goli check karne laga

"I cannot believe this.." Samar ne khali bandook zameen pe fenk kaha

"Mujhe samajh lena chahiye tha ke tu daulat ke liye aakhir dosti ko bhul hi jayega" Samar ne apna sar hila ke kaha

"Ab kaam ki baat karein.." Sunny ne apni jeb se dusri gun nikal ke Samar ke saamne taan kaha

"Usse pehle.. Usman, zara bori ko khol aur dikha ise iske jeevan ka sabse bada surprise" Baba ne bhi apni bandook nikali aur Samar ke saamne taan di.. Udhar Umer ke sath baaki sab ghar wale bhi yeh sab hote hue dekh rahe the, unhe kuch samaj nahin aa raha tha ke yeh sab kya ho raha hai aur kyun ho raha hai

"Koi humein batayega yeh sab kya hai.." Umer ne aakhir khijte hue kaha

"Ek minute uncle.. Sab samaj aayega aapko.." Sunny ne Umer se kaha aur khud jaake Usman ki madat kar ke uske haath mein boriyan kholne laga.. Jaise jaise dono bori ko kholte waise waise sab ki nazrein aur sab ki dil ki dhadkanein badhti jaati.. Jitni utsukta se Samar unhe dekh raha tha, utni hi utskuta us waqt Umer, Suhasni aur Rajvir ko bhi thi.. Jyoti ka dimaag abhi bhi yehi soch raha tha ke agar gun khali thi toh fir Sunny ne Sheena ke bag mein rakhwayi kyun, lekin filhaal apna dimaag wahan se hata ke saamne Sunny aur Usman ki taraf dekhne lagi.. Sheena bhi us taraf badi utsukta se dekh rahi thi, lekin uski nazrein Sunny par hi thi, yeh janne ke bavajood ke woh Ricky nahin hai, woh fir bhi usse ab bhi pyaar karti thi.. Yeh sach hai ke yeh pyaar uske dil mein Ricky ke liye tha, lekin Ricky ke chehre se pyaar ek alag baat hai, dilon ka milna alag baat hai, Ricky ke chehre ke peeche bhavnayein toh hamesha Sunny ki hi thi, awaaz Ricky ki thi lekin alfaaz Sunny ke hi the, Sheena ke dil mein ab bhi woh pal utne hi yaadgaar the jab jab woh Sunny ko pareshan karti, raat raat bhar usse baatein karna, use sone na dena, kuch bhi bolna, kuch bhi demand karna, uske sath kiya gaya woh romantic sa candle light dinner, baarish mein balcony mein sath beth uske kandhe pe sar rakh ke pee gayi hui coffee, aur Sunny ne kabhi bhi uspe ek baar bhi gussa nahin kiya tha, ulta woh khud galti karti thi aur uspe hi chillati thi, yeh sab yaad kar uske chehre pe ek muskaan ter gayi 2 din baad Sheena ke chehre pe muskurahat aayi thi jise uske paas khadi Ritu ne bhi dekh liya

"Samar.. Yeh specially tere liye hai mere bhai.." Ricky aur Usman ne ek sath dono boriyon ko khola aur usme se 2 behosh insaan nikale

"Ammi, please check kijiye inhe.." Sunny ne Ritu se kaha aur khud Samar ke paas chala gaya

"Maine tujhse pehle hi kaha tha ke Raichand's mein se kisi ko kuch nahin hona chahiye.." Sunny ne Samar se kaha aur saamne behoshi ke haalat mein pade Vikram aur Ricky ki taraf ishara kiya.. Jaise hi Usman aur Sunny ne un dono ko us bori mein se bahar nikala , Umer aur Suhasni ke kaleje mein ek sheet lehar si daud gayi aur khushi ke maare unki aankhein bhar aayi aur theek waisa hi haal Rajvir aur Jyoti ka bhi tha.. Abhi kuch der pehle Sunny ke sath bitaye hue lamhe yaad karti Sheena apne saamne behosh Ricky ko dekh fir se dil hi dil mein maayus hone lagi.. Ricky ka toh ghar wale samaj sakte the ke unhone use dekha bhi nahin tha, par Vikram ko dekh wahan sab ke sab chaunk gaye. Khushi toh thi hi, lekin hairaani is baat ki thi ke Vikram agar unke saamne khada tha toh fir woh laash kiski thi.. Raichand's mein se koi kuch nahin bol paa raha tha, koi khushi ke maare toh koi shock ke maare

"Main samajh sakta hun aap logon ki duvidha.." Baba ne apni gun Samar ke saamne se hata ke Raichand's se kaha lekin Samar ko ab tak vishwaas nahin ho raha tha ke Vikram aur Ricky kaise zinda ho sakte hain

"Yeh dono theek hain, kuch hi der mein hosh aa jayega inhe" Ritu ne wahan bethe sab logon se kaha

"Haan toh main yeh keh raha tha ke agar Vikram yahan hai toh woh dead body kiski thi.. Aap log yahi soch rahe hain na.." Baba ne ek nazar Umer ko dekha toh Umer ki aankhon ne hi use haan ka jawaab diya

"Samar.. Tune abhi thodi der pehle kya kaha tha, Sunny ki yahi galti hai ke usne tujh pe aankh bandh karke vishwaas kiya... Lekin ahem sawaal yeh hai ke tu khud Sunny ke baare mein kitna jaanta hai.. Tune Sunny ko apne baare mein kya kya bataya aur usme se kya sach tha kya nahin, woh baat toh hum baad mein karenge, lekin filhaal tu ab meri sunega.." Baba ne Samar se kaha aur apni baat shuru ki

"Raat ko Vikram ne Sheena se phone pe kaha tha ke woh agle kuch ghanton mein aake ghar pe sabko Ricky yaani Sunny aur Sneha ki sachai bata dega.. Prem thehra tumhara aadmi, Vikram ki nazar hati ke usne tumhe call karke sab kuch sach bata diya.. Vikram toh use hotel mein zinda rakh ke hi gaya tha, lekin tumhe uske pakde jaane se khatra lagne laga.. Tumne turant apne bhaade ke tatoo se Vikram ki car mein bomb fit karwaya jisse tumhein yakeen ho gaya ke sab tumhare plan ke hisaab se jaa raha hai, mera dil thoda bada hai isliye maine vikram ko us car mein bethne bhi diya taaki tumhe thodi si khushi mile, aur waise bhi tumhara plan car ko highway pe blast karna ka tha, city area mein karte toh kaafi inquiry hoti aur shayad tum usme fas bhi sakte the, gaadi jaise hi highway ko touch hui.."


"Ek baar ghar pahunch jaun fir dekhta hun in sab ko.." Vikram tahash mein gaadi chalaye jaa raha tha ke achanak uske paas theek ek dusri SUV aake uske sath aagey chalne lagi.. Kuch doori pe pahunch ke woh SUV Vikram ki gaadi ko overtake kar di aur theek beech raaste mein uske saamne khadi hui

"What the.." Vikram ne gaadi ki break maar chillaya par highway pe yun achanak break lagne se uski gaadi skid hone lagi aur thodi aagey jaake ruki

"Yeh kya kar rahe ho tum.. Marne ka iraada hai kya.." Vikram ne gaadi se bahar nikal ke dekha toh uske saamne Baba khada tha

"Aise koi gaadi chalata hai kya, aur yun beech raaste mein aise gaadi rokne ka kya matlab hai.." Vikram Baba ke paas chillata hua pahuncha hi tha ke kuch jawaab dene ke badle Baba ne use apni gun dikha ke wahin rok diya

"Yeh kya bakwaas hai, tum mujhe jaante ho, main kya kya kar sakta hun tum soch bhi nahin sakte" Vikram ne baba se kaha jo bina kuch bole use gun dikhaye jaa raha tha

"Usman... Laash ko driver's seat pe bitha.. Aur tu, Vikram Raichand, sab janta hun tere baare mein, filhaal chup ho jaa, maarna hota toh gaadi se nahin utaarta.." Baba ne chilla ke pehle Usman se kaha aur fir Vikram se kaha.. Baba ki zabaan se apna naam sun Vikram ko samajh nahin aaya ke yeh hai kaun aur use kaise janta hai, itne mein Usman ne ek dead body ko Vikram ki gaadi ki driver's seat pe bithayaa

"Aaja.. ek chees dikhata hun.." Baba ne vikram ko gun point pe liya aur Vikram ki gaadi ki taraf le gaya

"Yeh.. kaise ho sakta hai.." Vikram ne driver's seat pe ek dead body dekh kaha jiski shakal hubahu usse milti thi

"Dikhata hun, ruk jaa.. Chal andar beth.." Vikram ko kuch samaj aata usse pehle Baba ne use dhakel ke apne sath apni gaadi mein bithaya aur tab tak Usman ne Vikram se uska mobile, wallet aur baaki sab cheesein jo yeh saabit kar sakti thi ke driver Vikram hi tha, woh sab us dead body ke paas wali seat pe bhi rakh diya.. Usman aur baba vikram ko leke aagey nikal gaye.. Thodi doori pe jaake baba ne gaadi roki aur Vikram ke sath uski gaadi ko dikhane laga.. Sunsaan sadak pe khadi ek black SUV ke paas se ek dusri gaadi nikli aur us gaadi ke nikalte hi, agle 10 seconds mein beech sadak pe khadi Vikram ki SUV blast ho gayi.. Apni gaadi blast hote dekh pehle toh Vikram ko yakeen nahin hua aur dil hi dil mein shukr manane laga lekin use ab tak yeh samaj nahin aaya ke Baba ne use kyun bachaya aur yeh hai kaun

"Lekin aap.. Aur yeh sab..." Vikram iske aagey kuch puch paata Baba se, tab tak Usman ne use peeche se chloroform sungha diya aur 2 minute mein Vikram bhi behosh ho gaya


"Ek woh din hai, aur yeh din hai.. Vikram aaj tak meri nigraani mein tha, jaisa ki aap dekh sakte hain, humne iski sehat ka utna hi dhyan rakha hai jitna aap rakh sakte the, naa chahte hue bhi humein vikram ko yeh sab jo hua uske baare mein batana pada.. Jab vikram ko pata chala puri baat ke baare mein aur jab use yakeen hua ke hum uska aur uski family ko kuch nahin hone denge, tab usne mera sath diya khamosh rehke.." Baba ne apni baat Samar aur Raichand's ko batayi

"Bhagwan ka laakh laakh shukr hai.. Main aapse kya kahun, mere paas shabd nahin hain.." Umer kuch bolta usse pehle Rajvir bol pada, Vikram ko dekh Umer se zyada khushi uske chehre pe jhalak rahi thi

"Milenge.. Kehne ke liye aapko bhi shabd milenge, maine uska bandobast bhi kiya hua hai.. Lekin filhaal lagta hai aapko meri baat pe yakeen nahin hai.." Baba ne Rajvir ke paas jaake kaha jisse Rajvir ke chehre pe faili hui khushi hawa hone lagi

"K k kyaaaaa maattllaabbb hai aapkaaaa... Aisi toh koi baat nahin.." Rajvir ne apne chehre se behta paseena ponch ke kaha

"Aisa hi hai bilkul, tabhi toh pichle 5 min se aap commissioner ko SMS pe SMS kiye jaa rahe hain.. lekin itminaan rakhiye, tum commissioner ko jaante ho, lekin commissioner mujhe jaanta hai.. Jab tak main naa chaahun tab tak yahan police kya, ek havaldaar bhi nahin aayega" Baba ne rajvir ke hath se mobile cheen kaha jo use chupane ki nakamyaab koshish kar raha tha

"Abhi toh bahut mazedaar kahaani hai, ek kaam karo, aap idhar aa jao.." Baba ne samar ko pakda aur use ek jagah bitha liya
Reply


Messages In This Thread
RE: Antarvasna kahani वक्त का तमाशा - by sexstories - 07-03-2019, 05:17 PM

Possibly Related Threads…
Thread Author Replies Views Last Post
  Raj sharma stories चूतो का मेला sexstories 201 3,509,677 02-09-2024, 12:46 PM
Last Post: lovelylover
  Mera Nikah Meri Kajin Ke Saath desiaks 61 545,361 12-09-2023, 01:46 PM
Last Post: aamirhydkhan
Thumbs Up Desi Porn Stories नेहा और उसका शैतान दिमाग desiaks 94 1,235,437 11-29-2023, 07:42 AM
Last Post: Ranu
Star Antarvasna xi - झूठी शादी और सच्ची हवस desiaks 54 934,144 11-13-2023, 03:20 PM
Last Post: Harish68
Thumbs Up Hindi Antarvasna - एक कायर भाई desiaks 134 1,658,959 11-12-2023, 02:58 PM
Last Post: Harish68
Star Maa Sex Kahani मॉम की परीक्षा में पास desiaks 133 2,085,312 10-16-2023, 02:05 AM
Last Post: Gandkadeewana
Thumbs Up Maa Sex Story आग्याकारी माँ desiaks 156 2,958,510 10-15-2023, 05:39 PM
Last Post: Gandkadeewana
Star Hindi Porn Stories हाय रे ज़ालिम sexstories 932 14,080,039 10-14-2023, 04:20 PM
Last Post: Gandkadeewana
Lightbulb Vasna Sex Kahani घरेलू चुते और मोटे लंड desiaks 112 4,041,500 10-14-2023, 04:03 PM
Last Post: Gandkadeewana
  पड़ोस वाले अंकल ने मेरे सामने मेरी कुवारी desiaks 7 285,742 10-14-2023, 03:59 PM
Last Post: Gandkadeewana



Users browsing this thread: 5 Guest(s)