Antarvasna kahani वक्त का तमाशा
07-03-2019, 05:17 PM,
RE: Antarvasna kahani वक्त का तमाशा
"Sheena, kya yeh sach hai.." Jyoti ne Sheena ki taraf rukh kar kaha toh Sheena ne turant hi apni nazar Sunny ki taraf ki

"Uh huh.. Use mat dekho, yeh toh acha hua ke tumne is baare mein Sunny ko bataya aur usne tumhe uljhaye rakha ke vikram jis number se call kar raha hai woh private hai aur traceable nahin hai.. Jaise hi mujhe pata chala Vikram ke baare mein, maine uski car ke neeche bas ek chota sa explosive fit kiya, usne socha ke Sunny ki sachai ko woh benakaab ghar pe aake sab ke saamne karega, bas, mujhe aur kuch nahin chahiye tha.. Usi raat uski gaadi Pune Mumbai highway pe blast ho gayi aur Vikram duniya se chal basa.." Samar ki baat sun Jyoti ko yakeen nahin ho raha tha ke koi kaise maut ka kissa yun badi asaani se suna sakta hai, yeh pal tha jab Sheena khud ko Vikram ki maut ka zimmedaar maan rahi thi aur Vikram ke liye aansu bahaye jaa rahi thi

"Par in sab mein Sunny ka koi haath nahin hai.. Sunny har baar mujhe yaad dilata raha ke isme kisi ki jaan ko khatra nahin hona chahiye, lekin main bhi majboor tha, kya karta, Vikram ko nahin maarta toh mera kaam ho hi nahin paata.. " Samar chalte chalte Sunny ke paas aake ruka

"Ricky bhai... Ko.." kehte kehte Sheena ruk gayi aur chalakti hui aankhon se Samar aur Sunny ko dekhne lagi

"Ricky ki koi galti nahin thi.. Ricky ko maine bahut hi ache se sambhaal rakha tha, 24 ghante mere aadmi uspe nigraani rakhte, use time pe khana dete aur dhyan rakhte ke woh zinda rahe, lekin kismat ko kuch aur hi manzoor tha.. Ricky ko maine jahan Qaid rakha tha, wahan se woh bhaagne mein kaamyaab hua hi tha ke mere aadmi ki nazar uspe padi, der raat, takreeban 2 baje woh akela London ki sadkon pe bhaag raha tha ke achanak uski saansein toot gayi aur woh ek church ke paas aake ruka.. Itne din ka bhukha aadmi, kitna bhaag sakta, jaise hi mere aadmi ki nazar uspe padi usne use wahin maar ke usi church ke paas dafna diya.. Lekin dukh mujhe kaafi hua is baat ka, mera yakeen maano, mera iraada kisi ka khoon karne ka nahin tha.." Samar ne fir apni baat itni saralta se kahi ke aisa lag raha tha ke woh kisi ki maut ki nahin, balki koi roz marha ki zindagi ka kissa suna raha ho

Jahan Jyoti aur Sheena ko jhatke pe jhatke lagte jaa rahe the, wohi haalat is waqt Sunny ki bhi thi, lekin jo ab ho chuka tha woh uska kuch nahin kar sakta tha, abhi uske liye kuch zaroori tha toh woh Sheena ki hifazat

"In sab mein Sunny ki sirf ek hi galti thi.." Samar ne jaise hi yeh baat kahi, Jyoti aur Sheena ke sath khud Sunny ki nazrein bhi uski taraf ghum gayi aur aankhon mein ek sawaal sa ubhar aaya

"Sunny ne meri har baat pe aankh bandh karke vishwaas kiya bas.. Yehi uski sabse badi galti thi" Samar ne wohi baat ki jo is waqt sunny ke zehen mein thi lekin woh fir bhi khamoshi se sunta raha Samar ko

"Par.. Jo beet gaya so baat gayi.. Yeh sab ho chuka hai, isme hum kuch nahin kar sakte, lekin jo aanewala waqt hai, use toh hum apne hisaab se chala sakte hain na.." Samar ne apne chehre pe ek gambhirta laake kaha aur Sunny ko dekhne laga. Sunny uski baat samajh gaya aur Sheena ki taraf badhne laga, jaise jaise Sunny sheena ke nazdeek aata, waise waise Sheena ki dil ki dhadkan bhi badhne lagti, uske chehre pe shikan badhne lagti, darr uske pure shareer ko gher chuka tha, nazdeek aate hi Sunny ne uske haath se uska bag liya aur andar se property ke papers nikal fir samar ke paas chala gaya

"Yeh.. isliye yeh mera pakka dost hai, sab ishare se hi samajh jaata hai.." Samar ne sunny ki taraf haath badhakar property papers maange

"Yeh tere kaam ke nahin hain, jispe humein sign lene hain, woh papers tu mujhe de.. inka ab koi kaam nahin hai.." Sunny ne apni jeb se loghter nikal kaha aur dekhte hi dekhte Sheena ke bag se nikale hue property papers jala ke raakh kar diye, Jyoti aur Sheena is manzar ko dekh bhi nahin paa rahi thi, dono ki aankhein darr ke maare neeche jhuki hui thi

"hahahahahhaah... haan yeh sahi kiya tune, na honge papers aur naa rahi property sheena ke naam pe.." Samar ne apne jacket se dusre papers nikale aur woh Sunny ko pakdaye

"Yeh papers ke hisaab se property Sheena ke naam pe thi.." Sunny ne jale hue papers ki taraf ishara kar kaha

"In papers ke hisaab se Sheena yeh saari property Samar ke naam kar deti hai.." Sunny papers leke sheena ki taraf badhta hua bola

"Ispe sign kar do Sheena.." Sunny ne ek dum thandi aur rukhi awaaz se sheena ko kaha, Sheena ki jhuki hui nazrein is umeed ke saath Sunny ki taraf uthi ke shayad woh koi madat kar de abhi ke abhi, lekin uska dil toot ke choor hua jab usne paya ke Sunny nazrein fer khada tha

"please help us.." Sheena ne subak ke kaha lekin Sunny tas se mas na hua

"Ask her to sign please.." Sunny ne Jyoti ko dekh kaha toh Jyoti bhi ek pal hairaan hoke use dekhne lagi

"Sheena, sign kar de.. mujh pe vishwaas rakh tu.." Jyoti ne majbur hoke Sheena se kaha toh Sheena ne naa chahte hue bhi papers pe sign kar diye aur Sunny ke haath mein thama diye.. Jab tak Sunny wahan khada raha tab se leke jab tak woh Samar ke paas na pahuncha, usne ek baar bhi nazar utha ke Sheena ki aansu bahati aankhon mein nahin dekha

"Umer aur Rajvir ki jaaydad mubarak ho tujhe.." Sunny ne papers samar ko diye aur usse gale lag gaya

"Shukriya mere bhai... Tu na hota toh.." Samar ne bhaari si awaaz mein kaha lekin apne jazbaaton pe kaabu rakha

"Rajvir ki jaaydad.. Yaani dad ki.. " Jyoti chaunk ke khud se boli

"Hey, hello... Dad ki property tumhare naam kaise hui.." Jyoti ne chilla ke ascharya mein pucha

"Oh... Shit, Sorry.. Tum puchna bhul gayi aur main batana bhi bhul gaya hahahhahaaa.." Samar ne Sunny se alag hoke kaha

"Itni der mein tumne yeh toh humse nahin pucha, ke Sneha ka in sab mein kya kaam tha.." Samar ne Jyoti ke paas badh ke kaha aur aankhon se use kuch samjhaane laga

"Samjhi... tumhare papa ka tumhari bhabhi ke sath hotel se nikalna, Sneha ka mere liye kaam karna aur tumhare papa ki property mere naam hona.. kuch samaj aaya ya ab bhi tumhe samjhaun.." Samar ne Jyoti se kaha jo abhi bhi kadi se kadi jod rahi thi aur jaise jaise use Samar ki baat samajh aane lagti waise waise uska muh aur khulta jaata

"Oh my goddd....." Jyoti ne apne muh pe haath rakh kaha

"Matlab.."

"Yes.. matlab tumhare baap ki aiyashi ne tum logon ko sadak pe laake chhoda hai.." Samar ne halki si unchi awaaz kar kaha lekin fir agle pal khud ko shant karne laga

"Chalo, ab zara iski bhabhi ko bhi bulaya jaaye.. Lekin.." Samar fir kuch soch ke ruka aur has ke Jyoti aur Sheena ko dekhne laga

"Yahan nahin... hahahaahhahahahahahhaha" Samar ki hansi ki awaaz us puri jagah pe goonjne lagi, itne andhere aur shant maahol mein aisa lag raha tha maano koi shaitaan has raha ho

"Aao Sneha.. Welcome..." Samar ne Sneha se kaha jo is waqt Sunny aur Samar ke saamne khadi thi

"Pehle pata hota ke devar jee bhi yahan hain, toh ghunghat odh ke aati inke saamne.." Sneha ne jhuk ke Sunny ko apne chuche dikha ke kaha jo uske top se bahar aane ko fudak rahe the

"Devar jee se baad mein mil lena.. Pehle apni do pyaari pyaari nanad se toh mil lo.." Samar ne Jyoti aur Sheena ki taraf ishara kar kaha jinki aankhon pe patti bandhi hui thi

"Inhe kaise bhul sakti hun, yeh toh hamare parivaar ki jaan hain, inme se ek ko kuch bhi ho jaaye, toh saara ka saara ghar maatam mein chala jata hai.." Sneha jyoti aur sheena ke paas jaake ruki aur unki aankhon se patti hata di.. Patti khulte hi Jyoti aur Sheena ne dheeme dheeme apni aankhein kholi toh unke saamne Sneha khadi thi haathon mein haath daale, lekin usse zyada khatarnaak jo baat thi, woh yeh thi ke woh is waqt kisi aur jagah pe thi

"Yeh toh..." Jyoti ne itna hi kaha ke Samar ne use tok diya

"Sahi pehchana.. 29 saal pehle kahaani yahin shuru hui thi.. Aur kahaani aaj khatam bhi yahin hogi.." Is waqt woh log Worli ke usi bunglow mein maujud the jahan pe Jyoti ne anjaane mein Samar ke kehne pe kuch kaam karwaya tha.. Yeh wohi worli ka bunglow hai, jahan kahani shuru hui thi..


"Waise, tumne bataya nahin ke devar jee bhi tumhare sath mile hue hain, khamkha main inse darti rahi.. par pehle zara main isse toh mi lun.. bahut pareshan kiya na , ab yahan tujhe mujhse bachane wala koi nahin hai.. ab kya karegi tu han" Sneha ne Sheena ki taraf badh ke kaha

"Bahut bol rahi thi han, bahut hawa mein ud rahi thi, ab tujhe pata chalega jab tu aur tera pura khandaan sadak pe aa jaoge aur dar dar thokar khaake, beekh maangte firoge.. Ab toh tera bhai bhi hamare sath hai, ab tujhe mujhse kaun bachayega haraamzyadi.." Sneha ne cheekh ke apna haath Sheena ke gaal ki taraf badhaya hi tha ke peeche se Sunny ne uska hath pakda aur use ghuma ke do bhaari tamache uske gaalon pe jhad diye..

"Shhhatttttt..." ki awaaz pure kamre mein goonjne lagi aur thappad padte hi Sneha zameen pe jaa giri.. Itna bhaari haath gaalon pe mehsus kar Sneha chakra ke zameen pe jo giri uski hawaiyan udne lagi, pehle kuch der toh uski aankhein bandh rahi aur chakkar khati hui wahin bethe bethe apne sar ko pakadne lagi, kuch der beeti, jab usne khud ko sambhaala toh apni nazar utha ke Sunny ko ghoorne lagi

"Yeh kya hai... Aap toh hamare saath hain na devar jee.. Fir yeh kyun.." Sneha ne pehle Sunny se kaha aur fir Samar ko jawaab ke liye ghoorne lagi

"Yeh tera devar nahin hai.. Aur isse pehle ki tu puche yeh kaun hai, toh yeh bhi sun le, yeh khel teri samaj se bahar hai.. Ab khamosh reh aur chupchaap se Rajvir ne tere naam jo property ki hai, uske papers mere hawaale kar chal.." Samar ne use baalon se kheencha aur Jyoti aur Sheena ke sath khada kar diya.. Samar ki baat sun Sneha ko ek aur jhatka laga

"p.p.p.p paperrssss.. k.k.k kaaaisseee ppapppeerssss" Sneha ne hakla ke jawaab diya, use umeed nahin thi ke Samar ko is baat ke baare mein pata bhi chalega

"lagta hai yeh aise nahin maanegi.. theek hai, Sunny ne mujhe Raichand's ka khoon bahane se mana kiya tha, lekin tu toh Raichand nahin hai na.. Aur tera bhai.." Samar ne bhai shabd pe zor deke sneha ko dekha toh Sneha ki aankhein badi ho gayi

"bhai.. kya hua mere bhai ko.. prem kahan hai.. kya hua hai prem ko.." Sneha chilla chilla ke room mein har jagah nazrein daudane lagi

"Sshhhhh.... Khamosh ho jaa.. Tujhe kya laga, tu Rajvir ki property apne naam kar degi aur mujhe pata bhi nahin chalega.." Sneha ke chehre se paseena kisi pani ke jaisa bahe jaa raha tha

"Bahut bade resort ki maalkin bani hai tu han... Bhul mat, agar tujh jaisi se kaam nikalwa sakta hun, toh tujhpe 10 aankhein bhi rakh sakta hun.. Yaad hai woh subah, jab tere pyaare devar Ricky ne resort tere naam kiya tha.." Samar ne Sneha ke aas paas chakkar laga ke kaha toh Sneha ki aankhon ke saamne bhi woh subah aa gayi

"haan.... sahi socha" Samar ne kaha jab usne dekha Sneha kuch yaad karke andar hi andar baukhla si rahi thi

"Bas, theek usi waqt, tujhe resort nahin mila tha, balki Rajvir ne jo property tere naam ki thi, woh tune apne pyaar devar ke naam kar di.. Aur tere pyaare devar na mere naam pe... hahahaaahah hiiiiihihihihi..." Samar sneha ke ird gird ghumta hua hasne laga


"Bahut bol rahi thi han, bahut hawa mein ud rahi thi, ab tujhe pata chalega jab tu aur Raichand ka khandaan sadak pe aa jaoge aur dar dar thokar khaake, beekh maangte firoge.. Aur tere sath toh tera bhai..." Kehte kehte Sunny ruk gaya aur Samar ko dekhne laga

"hahahhaaa.. main bolta hun hahahahaa... tere sath toh tera bhai bhi nahin hai.. bechaare ko marna pada.." Samar ne Sneha ki aankhon mein dekh kaha jinme darr ke sath aansu bhi chaaye hue the

"bechaara mere liye khatra ban chuka tha, mere paas koi rasta nahin bacha tha sivay usko maarne ke.. Kya kismat paayi hai, jis din ricky ko zameen mein dafnaya, usi din prem ko bhi chita pe jalaya.." Samar ne apni baat puri ki aur teeno aurton ko dekhne laga jinki aankhon mein sirf aansu hi the

"Waise, tujh mein itni akal toh hai nahin, isliye tujhe saamne se bata deta hun, abhi do din pehle jo tune prem se baat ki thi, woh prem nahin tha, woh toh uske phone se tumhari baaton ki recording thi, jo jo sawaal tune puche, maine waise recording play ki, tu yeh nahin soch sakti lekin main tujhse zyada sochta hun samjhi.." Samar ne Sneha se kaha aur Sunny ke sath aake khada ho gaya.. Samar aur Sunny room ke ek side khade the aur unke theek saamne Sheena Sneha aur Jyoti.. Sneha apne bhai ki maut ke liye aansu bahaye jaa rahi thi wahin Jyoti ka dimaag kaam karna bandh ho chuka tha, itni kamzor nahin thi woh ke woh bhi roti aisi haalat mein lekin is haalat mein woh laachaar mehsus kar rahi thi khud ko.. Sheena ke liye jaise is raat ki subah nahin thi, ro ro ke toh woh sukh chuki thi, lekin yeh sab dekh ke uska shareer bhi kamzor padne laga aur halke se chakkar bhi aane lagey.. Waqt rehte Jyoti ne use sambhaala aur paas mein rakhi ek chair pe use bitha diya

"Pani pilao use.." Sunny ne Jyoti se sirf itna hi kaha aur Sheena ko apni nam aankhn se dekhne laga

"Mere khayaal se tumhare paas abhi koi sawaal nahin honge puchne jaise.. " Samar ne Jyoti se kaha jo akeli ladki thi hosh mein, Sheena behoshi ki haalat mein thi aur Sneha apne rone se unchi nahin aa rahi thi

Samar ki baat sun Jyoti ne bas naa mein sar hila diya

"Great..." Samar ne waqt dekha toh raat ke 12.30 baje the

"Waqt aa gaya hai, Umer aur Rajivr ko yahan bulane ka.." Samar ne apni jeb se phone nikala aur Jyoti ko dial karke diya

"Hello Tau jee..." Jyoti ne Umer se baat karna shuru ki

"What... Kidnap.. Bete ho kahan tum.." umer ne Jyoti ki baat sun kaha

"Worli wale ghar mein tau jee.. Aap log please jaldi aaiye, Bhabhi Sheena aur Ricky bhai, hum teeno yahin hain.. please aap aaiye.." Jyoti ne Umer se kaha aur phone rakh diya.. Jyoti ki call aate hi Umer aur Rajvir aur Suhasni teeno Worli wale bunglow ki or nikal pade, Jyoti ne unhe mana kiya tha police mein batane ke liye lekin fir bhi Rajvir ne commisioner ko sab bata diya

"Aap fikr na karein.. Hum kuch hi der mein puri force ke sath wahan aate hain" Commissioner ne Rajvir ko jawaab diya.. Kareeb 20 minute mein Umer Rajvir aur Suhasni apne worli wale bunglow mein pahunche toh dekh ke unhe achambha hua, itne purane band bunglow mein kidnapper kya kar raha hai, lekin fir bina kuch soche andar badhe aur upar se aati hui awaazein aur roshni dekh woh log wahan chale gaye

"Jyoti.." kamre mein sabse pehle Rajvir ghussa toh Jyoti ko dekh seedha uske paas chala gaya, Umer ki haalat kharab hui Sheena ko behosh dekh

"Sheena.. kya hua beta.. aankhein kholo.." Umer ne sheena ke gaal ko thapthapaya toh bhi sheena ki aankhein nahin khuli

"Ricky, kya hua ise.. Aur tu aise kyun khada hai.. behen ki madat kar aaja.." Umer ne bina dekha ricky se kaha jiske paas khada Samar woh sab maze se dekh raha tha

"Tau jee.. Ek minute..." Jyoti Rajvir se alag hui aur Umer ke paas jaake ghutno ke bal beth gayi

"Jyoti sheena ko uthao beti... Kya hua isse..." Umer ke aansu chalak pade

"Tau jee, woh theek hai, par usse kahin zyada zaruri baat batani hai aapko.." Jyoti ne Umer ke hathon ko apne haathon mein mazbuti se thama aur Rajvir ko dekhne lagi

"Dad.. Tau jee.. Tai jee.. Jo main aapko batane jaa rahi hun, use sun ke shayad aapko mujhpe vishwaas na ho, lekin wohi sach hai"

"Kaisa sach jyoti, kya baat hai.." Rajvir ne jyoti se kaha

"Sach.." Jyoti ne teeno ko dekh kehna shuru kiya, unhe har woh baat batayi jo ab tak unhe batayi gayi thi.. Jaise jaise jyoti ki baat badhti gayi, waise waise Rajvir aur Umer ke chehre gusse se laal hote jaate

"What.. Yeh.. Yeh ricky nahin hai.." Rajvir ne saamne khade Sunny ko dekh kaha aur bina kuch soche uski taraf chalaang laga ke use collar se pakda

"kyun kiya tune aisa... Kyun kiya tune aisa bataa mujheeee..." Rajvir ne Sunny ko collar se pakde rakha aur ek ke baad ek tamaache uske chehre pe lagata gaya lekin Sunny tas se mas nahin hua, aisa prateet ho raha tha maano ke Rajvir kisi cardboard pe tamaache maar raha tha.. Umer aur Suhasni ko hosh hi nahin raha tha Ricky aur Vikram ki khabar sun, Sneha is cheez mein shaamil thi, is baat se kahin zyada dukh unhe is baat ka tha ke aise shaqs ne unhe dhokha diya hai jo unke beech unka beta ban ke raha tha, unki beti ka bhai ban ke unke sath naatak kiya tha


"Bata mujhe kyun kiyaaa yeh sabbbb.." Rajvir ne fir jaise hi apna haath uthaya Sunny ko maarne ke liye, saamne se Samar ne Rajvir ka hath pakda

"Ek baar aur hath uthaya, toh saale aise hi maar dalunga, fir bhoot banke ghumte rehna aur sochte rehna ke aakhir mare kyun tu sab. Chal door hat chal.." Samar ne rajvir ko dhakka deke kaha

"Tum kaun ho... Aur kyun kiya yeh sab hannn.. Jawaab de mujhe... Kyun kiya yeh saabb tuneeee.." Rajvir ne chilla ke kaha

"hahahahhaa... dekh, yeh yeh.. yehi mera maksad hai.. Raichands mere aagey gidgidaye aur main yuhin hasta rahun.." Samar ne sunny se kaha jo haath mein haath baandhe khada tha

"Kaun ho tum.. kya bigada hai humne tumhara... kya kiya tha mere bachon ne tumhara.. jawaab do, kaun ho tum.." Is baar umer ne ruandi si awaaz mein pucha

"Main kaun hun yehi batane ke liye tum sab ko yahan bulaya hai... Mera naam hai Samar..."

"Ek second Samar.." Sunny ne kaafi der baad kuch bola aur bina kuch aur kahey wahan se seedha Jyoti ke paas chala gaya aur uske bag se gun nikali jo usi ne rakhwayi thi

"Yeh dekh.. full taiyari ke sath aayi hai ladki.." Sunny ne gun dikha ke kaha

"Iski isi ada pe toh main fida hun mere bhai.. par, woh sab baad mein, pehle filhaal inhe bata dein ke main kaun hun.. haan toh Umer.. Mera naam Samar"

"Ruk jaa.... Abhi nahin.." Sunny ne fir Samar ko roka

"Abhi nahin, agar teri ijaazat ho toh main phone kar sakta hun ek.." Sunny ne apna phone nikal kaha

"tujh pe toh pura bharosa hai meri jaan....lekin phone kisko karega"

"Do minute.." Sunny ne samar se kaha aur phone lagaya

"Hello.. haan aap aa jaiye, aur unhe bhi laaiye.." Sunny ne itna kehke phone cut kar diya

"bas do minute.." Sunny ne samar se kaha aur room ke gate pe dekhne laga


"Hello everybody.." Kuch hi der mein is awaaz se sabne darwaze ki taraf rukh kiya toh Sunny daud ke gate pe chala gaya

"Thank god aap aaj time pe aa gaye.." Sunny ne baba se gale lag ke kaha

"Tu bulaye aur main na aaun, aisa kabhi hua hai bache.."

"Yeh kaun hain.." Samar ne apni aankhein badi kar kaha

"yeh, mere father, mere waalid, mere dost, jo bhi tu samajh le, yeh sab kuch hain mere...." Sunny ne baba ke sath samar ke paas aake kaha

"Aur yeh yahan kaise.." Samar ne fir se apni nazrein choti kar kaha
Reply


Messages In This Thread
RE: Antarvasna kahani वक्त का तमाशा - by sexstories - 07-03-2019, 05:17 PM

Possibly Related Threads…
Thread Author Replies Views Last Post
  Raj sharma stories चूतो का मेला sexstories 201 3,513,747 02-09-2024, 12:46 PM
Last Post: lovelylover
  Mera Nikah Meri Kajin Ke Saath desiaks 61 545,817 12-09-2023, 01:46 PM
Last Post: aamirhydkhan
Thumbs Up Desi Porn Stories नेहा और उसका शैतान दिमाग desiaks 94 1,237,336 11-29-2023, 07:42 AM
Last Post: Ranu
Star Antarvasna xi - झूठी शादी और सच्ची हवस desiaks 54 935,474 11-13-2023, 03:20 PM
Last Post: Harish68
Thumbs Up Hindi Antarvasna - एक कायर भाई desiaks 134 1,661,194 11-12-2023, 02:58 PM
Last Post: Harish68
Star Maa Sex Kahani मॉम की परीक्षा में पास desiaks 133 2,087,474 10-16-2023, 02:05 AM
Last Post: Gandkadeewana
Thumbs Up Maa Sex Story आग्याकारी माँ desiaks 156 2,961,846 10-15-2023, 05:39 PM
Last Post: Gandkadeewana
Star Hindi Porn Stories हाय रे ज़ालिम sexstories 932 14,090,783 10-14-2023, 04:20 PM
Last Post: Gandkadeewana
Lightbulb Vasna Sex Kahani घरेलू चुते और मोटे लंड desiaks 112 4,046,115 10-14-2023, 04:03 PM
Last Post: Gandkadeewana
  पड़ोस वाले अंकल ने मेरे सामने मेरी कुवारी desiaks 7 286,131 10-14-2023, 03:59 PM
Last Post: Gandkadeewana



Users browsing this thread: 9 Guest(s)