Jeewan Aur Yauvan
04-02-2017, 02:20 PM,
#1
Jeewan Aur Yauvan
Lagataar 2 maheene se bed par pade pade Aditya ka mizaaj chirchida sa ho gaya tha. Uski saari activities bed tak hi mahdood thin. Doctors ke mashwara ke mutabik usay uthne baithne ki manaahi thi. Parinaam-swaroop uske ang-ang toot gaye. Uski saari shaktiyaan khatm hone ke kagaar par thin.....aur wo apni patni Nilima ke kandhon par bojh jaisa hokar rah gaya.

Ek wo din bhi the jab isi Aditya ke vyaktitva, uske roop aur gunon ki taraf aakarshit hokar Nilima ne usay chuna tha. Aditya tab ek millionire family ka layaq-fayaq chirag tha. Videsh se MBA ki degree lekar lautne ke baad wo apne daddy ke business me unki sahayata kiya karta tha. Uske achhesuggestion ki sabhi tareef kiya karte the. Doston, parichiton aur samaj me woh ek ideal yuvak maana jaata tha. Madhur-bhashi, shaant, viveksheel Aditya jahaan bhi jaata har kisi par apni chhap chhod deta tha. Uski personality ki tareef to uske dushman bhi kiya karte the.
Udhar Nilima bhi ek bahut hi sampanna parivar ki shobha thi. Maa-baap ki iklauti beti.....naazon me pali.....unke moh aur mamta ki thapkiyon par machal machal kar badhti rahi thi.
MA ke exams samaapt hone ke kuchh hi dinon baad Aditya se uska introduction hua tha. Waise indirect roop me donon pahle se ek dusre kojaante the......lekin ek dusre se milneya sampark me aane ka pahle kabhiavasar nahin mil paaya tha.
Shahar ke sab se mash'hur Club ke annual function me donon guest aurjudges the. Tabhi donon ki pahli mulaaqat huyi thi. Us din pahli baar donon ne ek dusre ko qareeb se dekha......aur tabhi se donon ke jeevan ki dhaarayen ek nirdisht kendra ki or sath sath bahne lagi.
Masti bhare din lagne lage......ek dusre ke nazdik aane, baithne aur baaten karne ki ichhaayen zor pakadne lagin. Din guzre......aur tab Aditya ne ek din bade hi somya dhang se Nilima ke saamne vivaah ka prastaav rakha. Chir pratikshit prastaav ke saamne aate hi Nilima ki khushi ka thikaana nahin tha.
Nilima vayask thi.....aur aadhunik paristhitiyon me poori tarah aazaad. Isliye uske faislon par aiteraaz karne waala koi nahin tha......aur phir Aditya jaise suyogya naujawaan ke liye kisi ke dil me kisiprakar ka sandeh hone ka koi sawaal nahin tha.
Ek shubh muhurt me donon ne ek dusre ka sath dene ki pratigya kar li.......ek dooje ke ho gaye.
Sukh ke, shaanti ke, Masti ke, rangeeniyon ke teen saal beet gaye. Ek dusre ke saanidhya me samay aise beeta jaise donon kal hi mile hon.
Aur tab aaya Aditya ki zindagi me ek jwaar bhaata. Kisi ko pata nahin chala.....ek adrishya si aandhi aayi aur donon ki khushiyon ko apne sath baha le gayi. Dekhte hi dekhte unki basi bassyi duniya ujad kar registaan ban gayi.
Business me kayi bade ghaate huye.Aditya ke daddy diwaliya ho gaye. Office se lekar kothi tak nilaam ho gaya. Tab bhi dendaariyaan poori nahin huyin. Aditya ke daddy iss dhakke ke kuchh hi dinon baad iss duniya ko chhod chale. Uske saptaah bhar baad hi maa bhi apne pati ki anugaamini hokar chal basi.
Yuva Aditya itne se haar maan lene waala nahin tha. Is bhayanak aandhi ka wo ab bhi poori shakti se saamna karne ka prayas kar raha tha. Nilima ke sachhe pyar aur uske hausla par apni ujadi huyi duniya kophir se basaane ki kalpana liye wo bhaagya ke thapedon se lad raha tha. Lekin bhaagya ko kuchh achha mazoor nahin tha. Sangharsh karte karte wo thak sa raha tha lekin din laut nahin sake..........aur ek din kismat ke thapedon ko jhelta joojhta.....wo achanak beemar pad gaya.
Nilima ke daddy ne kitni hi baar uski sahayata karni chaahi....lekin apni khuddari ke kaaran wo sada inkar karta raha. Hamesha kahta....."Ye sab to ek pariksha hai......mujhe apne bal par hi safal holene dijiye."
Aur akele me jab Nilima kahti, "Daddy se help nahin lena chaahte.....na sahi, par mera hissa to mera hai.....usay kaam me kyun nahin laate? Mera hai to kya tumhara nahin?''
Tab Aditya maun rah jaata. Usay yah bhi sweekar nahin tha. Ye thik hai ki Nilima ki bhaawanaaon me usay kabhi koi aisi baat nahin dikhi....jo aaj adhikaansh praaniyon ka maksad ban chuka hai.....uski sewa aur pyar ab bhi nischhal thi. Uski raai niskapat thin.
Aaditya se poorn roop se swatantra rah kar bhi Nilima ke dil me prem bandhan ke ullanghan ki bhaavna kabhi nahin jagi. Aditya ki rooh me apni rooh ko ghula dene me, pyar seuske qadmon par aatm-samarpan kar dene me aanand ki anubhooti jousay haasil hoti thi uske liye wahi bahumoolya thi.
Lekin uske har nih-swarth raai par Aditya ki chuppi se uske man me ashanka ke baadal mandraane lagethe. Use aisa lagne laga tha jaise uske saare prem, samarpan aur balidan ka Aditya ke nikat koi mahattva nahin. Apne prem se bhare nishchhal man me samajh rahi thi ki wah aur Aditya ek hain...do nahin....parantu shayad Aditya aisa nahin samajhta. Nahin to itni musibaton me Nilima ke dhanka upyog kyon nahin karta. Iss prashn ke uttar me wo ghulti gayi. Aditya ka dil use khokhla sa lagne laga. Wo vyathit si rahne lagi.
Ek din woh bhi aaya jab Aditya bed par pad gaya....wo khud se kuchh kar nahin sakta tha. Tab Nilima ke dhan ke upyog se wo mana nahin kar paaya. Haalaki iske kaaran uski aatma ki bechaini asahya thi.....par laachaar tha. Wo kuchh kar hi nahin sakta tha......aur sewa ka avasar paakar Nilima ki khushi ka thikaana nahin tha.
Bed par pade pade Aditya ke dimag me inhin baaton ka bavandar uthta rahta tha.....aur uske thapedon se ladta uske vicharon ki narmi nasht hoti jaa rahi thi. Wo sochta ki jab se Nilima ke paise us par kharch ho rahe hain tab se wo baat baat me uspar adhikar jataa rahi hai.....kahti hai..."Yeh mat karo....wo mat karo....aisa kyun kar rahe ho? Ghar ki haalat jaan kar bhi tum kuchh samajhte nahin.....ye paise bhi khatam ho jaayenge tab kya hoga?"
........jaise usme ab koi samajh hi nahin!....jaise use paison ki kami kyahuyi ki uski saari samajh.....saari akalmandi....achhi soch kho si gayi.
Bekaar baithe insaan ke dimaag parshaitan qabza kar leta hai. Aditya apni sochon ke bhanwar me ulajhta hua Nilima ki har gatividhi ko apni kasauti par taulne lagata. Dekhne laga ki uske kis vyavahaar me sachi hamdardi aur prem hai aur kisme sirf dikhawa hai. Kisme apnapan haiaur kisme adhikar ki jhalak hai.
Din guzarte gaye aur uska yah tankeedi nazariya donon ke jeewanke bich ek badi si khaai khodta gaya.
************************************************************
Raat ho chali thi. Nilima Aditya ko chai dekar kitchen ki taraf chali gayi. Aditya mez par pade ek magazine ko kheech kar uske panne ulatne laga. Title page ke picture ko dekh kar muhh banaya. Dusre panne par bekaar ki chizon ka vigyapan....uhh....panne palat'ta gaya. Newly married couple ki tasweeren.....panna ulat'te ulat'te ruk gaya.....ek ek tasweer uski aankhon ko uljhaane lagi.....poora dhyan se dekhne laga.....muskuraata aur sochta...inmekitni umangen hongi. Nayi nayi shadi....par kuchh din beetne ke baad.......kaisa badllao aa jaata hai jeevan me. Yahi Nilima.......hahhh......
Aur tabhi jooton ki awaaz....drawingroom se badhte huye launge me dhimi ho gayi.....ghadi me saadhe saat ho rahe the. "Wahi.....Tushar hoga.....Tushar Kashyap. Magazine ko ek taraf phek....bister me karwat le liya. Nafrat ki ek lahar uske samuche sharir me daud gayi. Tedhe ho gaye muhh se ek atyant halki si aawaz nikli...."Tushar.....Wahi Tushar jo sada uski dosti ka dam bharta tha......huhh..." Usne aankhen band kar lin.
Jooton ki awaaz ab kho si gayi thi. Kuchh pal baad launge se aati Tushar ke kahkahon ki awaz....Aditya ko uttejit karti rahin.....aur wo sochta raha.....kismatke thapedon ne usay aaj itna passt kar diya hai ki aaj uske hi ghar me baahar ke log muhabbat ki kahaniyaan duhraa rahe hain......aur wo kuchh bol nahin sakta. Bole bhi to kaise. Tushar ko wo kuchh kah nahin sakta....uspar uska kya haq? Aur uska qasoor hi kya hai......awasar ka faaida sab uthaatehai.....sanyog ka sadupayog.....haha....
Uski bimaari aur bad-qismati ne usay bhi sanyog de diya hai.....wo laabh kyon na uthaaye?
Nilima......usko bhi wo kya kah saktahai.....aaj jab uske tukdon par hi wo jee raha hai.....wo itni daya kar rahi hai uspar......yahi kya kam hai?.....Agar wo chaahe to saare bandhan ek pal me.....uff..
Apne adhikar aur qanoon ka sahara lekar wo Tushar ya kisi bhi anya vyakti ke sath apna jeewan sukhi bana sakti hai......uske daddy aaj bhi shahar ke rutbe waale vyakti hain.......dukh me woh hai....iss se usay kya? Uska swaarth to isi me hai ki apne sukh ko surakshit kar le. Phir ye sab nahin kar ke agar wo aajbhi uska sath de rahi hai...to kuchh der ki iss hansi khushi keliye.....wo usay kuchh kah hi kya sakta hai.
Lekin......dil hai ki maanta nahin......ek kasak si, ek bekali si kyon hoti hai? Dil kyon masosne lagta hai....is baat ko soch kar ki aaj uske sath rishte ki andekhi kar.......uske pyar ki andekhi kar.....uski aatma ki aawaz ko ansuni kar.....Nilima Tushar ke sath hansi mazaaq aur thitholiyon me leen hai......uska dil kyon cheekh pukaar kar raha hai....chhii.....charitraheen.....lekin kyon? Galat wo hai jise samaj aur qanoon galat maane. Aatma jise dekh sun kar ro uthe wo bhawukta hai......bhawukta.....ek kamzori....
Phir Aditya karwat badal kar dusri taraf ho gaya.....vicharon ka taanta pal bhar ke liye toota tha.....dubaarawaise hi chal pada......aur ant me usne nishchay kiya ki apne dil ki saari kash-makash ko aaj hi Nilima ke saamne khol ke rakh dega. Kah dega ki agar wo in halaat se oob gayi hai....agar wo chaahti hai.....apni nayi duniya basaana to wo taiyar hai.
Ghanta bhar baad Nilima Tushar ko sath liye kamre me aayi. Somya sa Aditya un donon ko dekh kar dusri or muhh pher liya.
"Kaisi tabiyat hai?" Tushar ne puchha.
Aditya ne uttar nahin diya. Nilima keliye ye sab naya nahin. Jab se Aditya bimar pada pada tha uski yahi kaifiyat thi.....wo uski chirchidahat se bhi parichit thi.....beemari ka soch kar wo uski aisi upekshaaon ko nazar-andaz kar deti thi.
Par Tushar apna apmaan samjha. "Bimari ne tumhare sharir ko hi nahin tumhare dimag ko bhi chaat liya hai."
"Kyon?'' Pahli hi teer par bokhla gaya.
"Bass...yun hi....ab main jab bhi aata hun....lagta hai meri shakal se tumhen chidh hai."
"Hmm..." anayas Aditya ke honton se nikal pada. Tushar ko laga jaise usne soch samajh kar uski baat ka uttar haan me diya hai.
"Neelo..!" Tushar ne Nilima se kaha aise kaha jaise Aditya ko bata raha ho ki uski Nilima ab Tushar ki Neelo ho chuki. Jaise barso baad usne apnikhoyi huyi nidhi haasil kar li jise Aditya ne chura liya tha.
Pal bhar ko uski aankhon me apni aankhen daal kar usne Aditya ke man ki sthiti ko jaan liya.....dil me mache kohraam ko parakh liya....Usay khushi mili. Muskura pada. Use yaad aaye wo din jab Nilima ke pichhe wo maara maara phirta tha....par Nilima uske hath na aayi thi. Aditya ke sath uski shadi kekaafi dino baad sanyog-wash uski Nilima se mulakat ho gayi. Purane ghaao phir hare ho gaye. Par natak ka plot abhi fix nahin kar paaya tha....ki Aditya ne bister pakad liya....usay laga samassya hal ho gayi.
Tabiyat ka haal, hamdardi aadi lekar wo roz 'apni Neelo' ke darshan kar jaaya karta. Kuchh hi dinon baad uski laalsayen honton tak aane lagin. Nilima aise sawalon ke baad itni gambhir ho jaati ki aage uska kuchh bhi chal na paata. Club, Cinema ya party ke bahane kayi baar usne Nilima ko ghar se durrakha. Lekin jitni der wo uske paas rahi Aditya ki haalat par chatpataatirahi. Tushar ko apni kamyabi me vishwas dagmagaane lagta. Phir bhiwo haar nahin maanta tha.
Baar baar usne Nilima ke dil me ye baat baithane ki koshish ki ...."Tumhara ye roop, ye aakarshan sab bekar jaa raha hai....ab kya rkhahai Aditya ke paas. Kuchh to nahin. Wo to tumhen utna pyar bhi nahin karta. Mujhe dekho....main tumhare liye barson se tadap raha hun.....mai yah karunga...wo kar doonga...."
Har baar Nilima bigad kar bhaag aayi thi. Uske saare jatan....saare swaang vyarth jaa rahe the.
Lekin aaj usne aate hi Nilima ko kuchh vichlit dekha tha. Usay aasha ki halki kiran dikhayi di thi. Wo tarah tarah ke jokes aur hansi ki baaton se Nilima ko hasana chaha par wo nahin hansi. Tab haar kar Tushar ne puchha.."Tumhen kya ho gaya hai? Kya mujh se bhi nahin kahogi?"
"Kuchh nahin..." Ek lambi saans khich kar Nilima ne kaha...."Ek aisi uljhan me phans gayi hun ki samajh me nahin aata kya karun."
"Kaisi uljhan?" usne utsukta se puchha.
"Chhodo bhi....kya karoge jaan kar." Nilima ne taalna chaaha.Lekin jab Tushar ne nahin maana tab usay bataana pada....
"Mere saare paise kharcha ho chukehain Tushar. Bahut thode bache hain. Ab aage se unki dawa ka intezam kaise hoga? Yahi soch rahi hun. Local college me ek post vacanthai. Main chahun to mujhe mil sakti hai. Par wo kaam main kar paungi....isme shak hai."
"Kyon?"
"Itni der der tak lecture dena ab mujhse kaise hoga? Main jab student thi tab bhi sochti thi.....professors ko dekh kar....kaise ek hi topic par itni der tak bolte hain.....yahi nahin bolte huye poori umar guzaar dete hain."
Tushar ke liye ye 'non-interest topic'tha.Usay to laga tha ki ek muddat ke baad raasta milne waala ho....jis se hokar wo Nilima ke jeewan me utar sakta hai. Usne Nilima ko toka...."Ek baat kahun.....tum agar bura na maano....to.."
"Kya?"
“Mujhe pata hai Aditya ko tum bahot chaahti ho. Lekin wah ab tumhare paas kis kaam ka raha? Na uske paas daulat hai na sehat. Apahij sa pada pada tumhari apni poonji bhi saaf kar raha hai. Tum kyon uske pichhe pagal ho rahi ho ab?"
Nilima ne suna aur nafrat se muhh banati boli..."Chhii...kya kah rahe ho tum? Tum kya chahte ho.....aaj jab wo dukh me pada hai.....tab main uska sath chhod dun? Kitna gair-insaani soch hai....main to iski kalpana bhi nahin kar sakti."
"Haan....ye insaniyat se giri baat hai....kewal tumhare liye.....kyonki tumhare jazbaat tumhaari aqal par parda daale tumhari kamzoriyon kalaabh utha rahi hai. Ek baar duniya ki taraf dekho. Sab apne ane matlabki hifazat karte hain. Main puchhta hun ab Aditya ke sath tumhara kon sa swarth hai? Tumne to apna sab kuchh luta hi diya us par. Lekin ek baar bhi tumne socha.....ki uski jagah agar tum bimar hoti....agar tumhare hi aise haalat hote.....to kyawo bhi tumhare liye yah sab karta? Kya saboot hai tumhare paas ki wo bhi tumhare sath aisa hi salook karta.?" Aur apni uttejna me, apne logic ki sachayi par aur apne chalaaye huye teer ke sahi nishana ka vishwaas par wo khud ba khud muskura utha.
Nilima tirchhi nazron se usay dekhti rahi.....dekhti rahi....aur sochti rahi ki kitna nich insan hai ye. Kitne gande vichar hain iske. Dukhi aur majboor insaanon ki madad to anjaan log bhi karne ke liye utsuk rahte hain. Phir bhala ek aise insan ko jise apnamaana....jise pyar kiya....usay dukh me tadapta dekh .....palla jhaad kar apne swaarth keliye....apni rangeeniyon keliye chal dena......haiwaaniyat hai. Nahin nahin.....pashu bhi aisa nahin karte honge.
Usne Tushar se puchhna chaaha...."Main to Aditya ko aisi haalat me chhod kar.....apne sukh keliye....apne roop keliye....apni yauvan ke liye tumhare sath ho lun.....par kal mere halaat bigad jaayen....to mera kaun sath dega? Tum...? Tum to apne swaarth ko surakshit rakhne keliye....apne sukh keliye kahin aur nishana sadhne lagoge."
Lekin usne puchha nahin. Usne socha ki aise nich ke sath baat badha kar faayeda hi kya jo itna bhinahin jaanta ki daampatya jiwan ki naiya aapasi vishwas ke sahaare chalti hai......roop, yauvan aur daulat ke sahaare nahin.
Lekin Nilima ki khamoshi ko....uske bahas me na padne ko......Tushar ne uski bhawanaaon par apni jeet samjha. Aur isi ke bal par....sirf iss aadhar par hi iss samay apne liye Aditya ke "Hmm" sunkar bade pyar se pukaara...."Neelo!....dekhti ho Neelo! Ab ismen mamuli si bhi samajhdari nahin rahi....sach hai....mujhe dukh hai bhai." Apne chehre par jhuti hamdardi lakar Tushar ne kaha....
"Jiska sab kuchh lut gaya ho.....dhan-jan, parivar aur sehat bhi....uski buddhi bhi agar nasht ho jaaye to koi ashcharya nahin."
Aditya ki palken band hi thin. Tushar ne phir kaha..."Ghar aaye mehman ki baaton ko ignore karna uska apman karna hai.''
Wo aage kuchh aur bolta ki Aditya muskuraya phir gambhir swar me bola...."Aur ghar me aakar kisi bimarki patni par dore daalna....usay jiwan-daan dena hai........kyon? Maine tumhari saari shekhiyaan suni hain......Tushar dear."
Aditya se yah sun kar Tushar ko bahut apman mahsus hua. Par usay Nilima ka bal tha. Uspar bharosa tha.....aur uske saamne Aditya se.....us Aditya se jiski maali haalat ki uss se koi tulna nahin......uss se wohaar nahin maan sakta tha.
Wo sateek aur sahi nishane par zakhm dene waala jawab soch hi raha tha ki Aditya ne kaha....."Tum meri tabiyat ka haal puchhne aaya karte the yaa apni tabiyat ka haal kisi ko bataane....? Phir main tumhare sawaalon ke jawaab nahindun to isme kaisa apman? Tumhen mujh se aur kya chaahiye?" aur karwat badal kar dusri taraf mud gaya. Yah sunne keliye wo ghooma nahin....
"Thik to hai.....maine maan liya ki main yahaan Neelo keliye hi aaya karta tha. Mujhe us se pyar hai. Tum ne usay mujh se chhin liya tha.....par aaj Ishwar ne mujhe awasar diya hai......main usay taklif men nahin dekh sakta. Tum kutton ki maut marrahe ho......aur kya chaahte ho ki wo bhi tumhaare liye apna sab kuchh khokar ab apni jaan tak de de.? Wo meri hogi......"
Ab Nilima ke liye bardaasht se baahar ho gaya....Puri taaqat se chillaa padi....."Shut up.....How dare you....?" uske nathune phul-pichak rahe the......"Ishwar ko wo kya jaan paayega jo manushya ko nahin jaansaka? Apni 2-4 mithi mithi baaton se hi tumne ye kaise samajh liye ki tum mujhe haasil kar paaoge? Tum jaise nich logon par main thookti bhi nahin......jisme itni samajh nahin.....ki kisi bhi pati aur patni ke bich nahin padna chaahiye. Main tumhara muh dekhna bhi apni tauhin samjhti hun.......chale jaao.....dubaara kabhi is ghar me kadam bhi mat rakhna."
Tushar maano aasman se gira. Uski saari hekdi hawa ho gayi. hakka bakka wo us ran-chandi ko dekh raha tha. Dekhta raha......apni parmanent haar ka vishwas ho gaya......dhire se utha.....baahar chalagaya.
Uske jaate hi jaise Aditya ke sharir me naye jeewan....nayi sfoorti ka sanchar hua. Palak jhapakte hi utha aur Nilima ko apne kaleje se chipka liya. Uski aankhen bhar aayi thin.....donon be-awaaz rote rahe.......sisakte rahe......pata nahin kab tak......ek nayi subah ke aane ki khushi me.

Free Savita Bhabhi &Velamma Comics @
Reply


Possibly Related Threads…
Thread Author Replies Views Last Post
  Raj sharma stories चूतो का मेला sexstories 201 3,464,322 02-09-2024, 12:46 PM
Last Post: lovelylover
  Mera Nikah Meri Kajin Ke Saath desiaks 61 540,243 12-09-2023, 01:46 PM
Last Post: aamirhydkhan
Thumbs Up Desi Porn Stories नेहा और उसका शैतान दिमाग desiaks 94 1,217,142 11-29-2023, 07:42 AM
Last Post: Ranu
Star Antarvasna xi - झूठी शादी और सच्ची हवस desiaks 54 920,527 11-13-2023, 03:20 PM
Last Post: Harish68
Thumbs Up Hindi Antarvasna - एक कायर भाई desiaks 134 1,632,054 11-12-2023, 02:58 PM
Last Post: Harish68
Star Maa Sex Kahani मॉम की परीक्षा में पास desiaks 133 2,063,487 10-16-2023, 02:05 AM
Last Post: Gandkadeewana
Thumbs Up Maa Sex Story आग्याकारी माँ desiaks 156 2,921,371 10-15-2023, 05:39 PM
Last Post: Gandkadeewana
Star Hindi Porn Stories हाय रे ज़ालिम sexstories 932 13,959,286 10-14-2023, 04:20 PM
Last Post: Gandkadeewana
Lightbulb Vasna Sex Kahani घरेलू चुते और मोटे लंड desiaks 112 3,993,914 10-14-2023, 04:03 PM
Last Post: Gandkadeewana
  पड़ोस वाले अंकल ने मेरे सामने मेरी कुवारी desiaks 7 281,383 10-14-2023, 03:59 PM
Last Post: Gandkadeewana



Users browsing this thread: 2 Guest(s)